Devi

Şarkı

Devi

Farak · Living is a Dream · 2025 · 2:44

Şarkı sözleri

Shukraguzaar hu us aurat ka jisne mujhe pyaar sikhaya Ek ne dil khol ke pyaar diya doosri ne mujhe badlaav sikhaya Ek se jawab dena seekha, doosri ne har jawab pe sawal uthaya Aur galat nahi hoga ye kehna, mujhe dono ne kalakaar banaya Ek se rishte aaj bhi hain, doosri ne mujhpe jazbaat gawaya Ek ki kishtein baaki hain, doosri ne poora udhaar chukaaya Ummeedein dono ko thi mujhse, par unka aadhar alag tha Ek ne had mein rakha mujhe, doosri ne had se aazad karaya Par pyaar barabar kiya dono se, bas dono ke maine alag the Main yaad barabar kiya dono ko par dono ke dayre alag the Ek rone ko kandha deti, doosri ki god mein jannat Ek jeene ki mansa deti, doosri jeene ka maqsad Mera sath barabar diya dono ne, bas dono ke kayde alag the Ek samajhti thi mujhko, doosri samjhaya behtar karti thi Ek sambhalti thi mujhse, doosri sambhaala behtar karti thi Naraazgi dono ko thi mujhse, main manaata ek ko tha Ek ko aadat thi meri, doosri mere bin guzaara behtar karti thi (Music) Main dono ka hu, par dono mujhe apna eklauta kehti hain Ek bigadne se rokti, doosri sudharne ka mauka deti hai Dono ko naaz mujhpe barabar hai Ek ke liye sabse zaroori main, doosri mujhe sabse ooncha auda deti hai Main ek se roothta hu to doosri se dilasa maangta hu Ek se door jaau hu to doosri se aasra maangta hu Dono ka hi saath ghar ka ehsaas karata hai Bhatakne lagu to ek mera hath thaamti hai, doosri se raasta maangta hu Vo yaad sab rakhti hain bas galtiyaan meri bhoola karti hain Pyaar kam zyada hota hai par dhyaan mera poora rakhti hain Ye rishta itna gehra hai ke samajhna mushkil Samman itna karti hain ke mujhe bhagwaan samajh ke pooja karti hain Mujhe halaat se zyada ek aurat ne badla hai Mera Bhagwan se zyada ek aurat pe karza hai Aur jo nakaare is baat ko vo mard nahi hai hoga ke Brahmaand mein sabse ooncha ek aurat ka darza hai (Music)

Şarkı sözleri LRCLIB tarafından sağlanmıştır.

Farak sanatçısının popüler şarkıları