Be Wafa

Song

Be Wafa

Lyrics

Udasiyan saath jo na latey to aur kya kerte Na jashn-e-shola manaate to aur kya kerte A ndhera mangne aaya tha roshni ki bheek Hum apna ghar na jalaate tou aur kya kerte Mein ne masoom baharon mein tumhein dekha hai In haseen raah-guzaaron mein tumhein dekha hai Mere mehboob teri parda-nashini ki qasam Mein ne ashkon ki qataron mein tumhein dekha hai Jab bhi rudaad-e-gham sunate hein Ashq palkon pe muskurate hein Jin ki khaatir luta diya sub kuch Wohi mera nishaan mita'te hein Beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants) Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Qismat mein naumeedi-o-hasrat hai! kya karoon? Us bewafa se mujh ko mohabbat hai! kya karoon? Beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants) Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Yaqeen e ishq to dekho ke us ke wadoon per Faraib khaye bohot phir bhi aitebar kiya... Acha Beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants) Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Mein jiss ke aik isharay pe jaan waar aaya Usay na meri mohabbat ka aitebar aaya... Acha Beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants) Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Mein ker raha tha faqt tajurba mohabbat ka Ub aise aag lagi hai bujha nahi sakta Yeh maanta hoon ke mein tujh ko paa nahi satka Tera khayal magar dil se ja nahi sakta... Acha Beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants) Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Zulf rukh se hata ke baat karo Raat ko din banaa ke baat karo Yeh bhi andaaz-e-guftugu hai koi Jab bhi karo dil dukha ke baat karo... Acha Beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants) Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Beewafa se bhi pyaar hota hai Her aik baat pe kehte ho tum ke tu kya hai Tumhe batao yeh andaz-e-guftugu kya hai Bewafa se bhi pyaar hota hai Yaar kuch bhi ho yaar hota hai Raag... Na sahay teri naseehat mere kiss kaam aaye hai Naik o bad sujat nahi jab dil kaheen lag gaye hai... kiyoon ke Yaar kuch bhi ho yaar hota hai (Vocables and Chants) Yaar kuch bhi ho yaar hota hai Yaar kuch bhi ho yaar hota hai Yaar kuch bhi ho yaar hota hai Hazrat e nah se jo aaye deeda-o-dil farsh-e-raah Yeh to samjhao koi woh aake samjhaein ge kya... kiyoon ke Yaar kuch bhi ho yaar hota hai Yaar kuch bhi ho yaar hota hai Marne walay to apni jaan se kahein Yaar ki bewafaiyan na gayeen Yaar kuch bhi ho yaar hota hai Yaar kuch bhi ho yaar hota hai Kya howa un ke saath gar hai raqeeb Phool ke saath khaar hota hai Phool ke saath khaar hota hai Phool ke saath khaar hota hai Phool ke saath khaar hota hai Phool ke saath khaar hota hai Jab woh aate nahi shab e waada Maut ka intizaar hota hai (Vocables and Chants) Ishq pe zindagi ka ey Purnam Sara daromadaar hota hai Bewafa se bhi pyaar hota hai Bewafa se bhi pyaar hota hai... Aaa!

Lyrics provided by LRCLIB.

Popular by Nusrat Fateh Ali Khan